ikkis baras guzre aazadi-e-kaamil ko tab ja ke kahin hum ko 'ghaalib' ka khayal aaya turbat hai kahan us ki maskan tha kahan us ka ab apne sukhan-parwar zehnon mein sawal aaya sau sal se jo turbat chadar ko tarasti thi ab us pe aqidat ke phulon ki numaish hai urdu ke talluq se kuchh bhed nahin khulta ye jashn ye hangama khidmat hai ki sazish hai jin shahron mein gunji thi ghaalib ki nawa barson un shahron mein ab urdu benam-o-nishan thahri aazadi-e-kaamil ka elan hua jis din matub zaban thahri ghaddar zaban thahri jis ahd-e-siyasat ne ye zinda zaban kuchli us ahd-e-siyasat ko marhum ka gham kyun hai 'ghaalib' jise kahte hain urdu hi ka shair tha urdu pe sitam dha kar 'ghaalib' pe karam kyun hai ye jashn ye hangame dilchasp khilaune hain kuchh logon ki koshish hai kuchh log bahal jaen jo wada-e-farda par ab tal nahin sakte hain mumkin hai ki kuchh arsa is jashn pe tal jaen ye jashn mubarak ho par ye bhi sadaqat hai hum log haqiqat ke ehsas se aari hain 'gandhi' ho ki 'ghaalib' ho insaf ki nazron mein hum donon ke qatil hain donon ke pujari hain