yun jashn-e-masarrat ki har samt ghata chhai phulon pe nikhaar aaya kaliyon ko hansi aai shadab hui kheti faslon pe bahaar aai bahti hui nadiyon ne ki baadiya-paimai bapu ke ahinsa ki nehru ke takhayyul ki tanwir nazar aai taswir nazar aai zehnon se jahaalat ki zulmat ko mita dala ab ilm ke suraj ki ghar-ghar mein kiran aai science mein hirfat mein hasil hui yaksui is daur mein bhaarat ne har fan mein jila pai ab dil mein umangen hain nazron mein masarrat hai har samt hai zebai har samt hai ranai duniya ki nigahen bhi pa-bos-e-qayaadat hain is bint-e-jawahar ki allah re masihai