ek aaya gaya dusra aaega der se dekhta hun yunhi raat us ki guzar jaegi main khada hun yahan kis liye mujh ko kya kaam hai yaad aata nahin yaad bhi timtimata hua ek diya ban gai jis ki rukti hui aur jhijakti hui har kiran be-sada qahqaha hai magar mere kanon ne kaise use sun liya ek aandhi chali chal ke mit bhi gai aaj tak mere kanon mein maujud hai saen saen machalti hui aur ubalti hui phailti phailti der se main khada hun yahan ek aaya gaya dusra aaega raat us ki guzar jaegi ek hangama barpa hai dekhen jidhar aa rahe hain kai log chalte hue aur tahalte hue aur rukte hue phir se badhte hue aur lapakte hue aa rahe ja rahe hain idhar se udhar aur udhar se idhar jaise dil mein mere dhyan ki lahar se ek tufan hai waise aankhen meri dekhti hi chali ja rahi hain ki ek timtimate diye ki kiran zindagi ko phisalte hue aur girte hue dhab se zahir kiye ja rahi hai mujhe dhyan aata hai ab tirgi ek ujala bani hai magar is ujale se risti chali ja rahi hain wo amrit ki bunden jinhen main hatheli pe apni sambhaale raha hun hatheli magar timtimata hua ek diya ban gai thi lapak se ujala hua lau giri phir andhera sa chhane laga baithta baithta baith kar ek hi pal mein uthta hua jaise aandhi ke tikhe thapedon se darwaze ke taq khulte rahen band hote rahen phadphadate hue tair-e-zakhm-khurda ki manind main dekhta hi raha ek aaya gaya dusra aaega soch aai mujhe panw badhne se inkar karte gae main khada hi raha dil mein ek bund ne ye kaha raat yunhi guzar jaegi dil ki ek bund ko aankh mein le ke main dekhta hi raha phadphadate hue tair zakhm-khurda ki manind darwaze ke taq ek bar jab mil gae mujh ko aahista aahista ehsas hone laga ab ye zakhmi parinda na tadpega lekin mere dil ko har waqt tadpaega main hatheli pe apni sambhaale rahunga wo amrit ki bunden jinhen aankh se meri risna tha lekin meri zindagi timtimata hua ek diya ban gai jis ki rukti hui aur jhijakti hui har kiran be-sada qahqaha hai ki is tirgi mein koi baat aisi nahin jis ko pahle andhere mein dekha ho main ne safar ye ujale andhere ka chalta raha hai to chalta rahega yahi rasm hai rah ki ek aaya gaya dusra aaega raat aise guzar jaegi timtimate sitare batate the raste ki naddi bahi ja rahi hai bahe ja is uljhan se aise nikal ja koi sidha manzil pe jata tha lekin kai qafile bhul jate the anjum ke daur-e-yagana ke mubham ishaare magar wo bhi chalte hue aur badhte hue sham se pahle hi dekh lete the maqsud ka band darwaza khulne laga hai magar main khada hun yahan mujh ko kya kaam hai mera darwaza khulta nahin hai mujhe phaile sahra ki soi hui reg ka zarra zarra yahi kah raha hai ke aise kharabe mein sukhi hatheli hai ek aisa talwa ke jis ko kisi khar ki nok chubhne pe bhi kah nahin sakti mujh ko koi bund apne lahu ki pila do magar main khada hun yahan kis liye kaam koi nahin hai to main bhi in aate hue aur jate hue ek do tin lakhon bagulon mein mil kar yunhi chalte chalte kahin dub jata ke jaise yahan bahti lahron mein kashti har ek mauj ko tham leti hai apni hatheli ke phaile kanwal mein mujhe dhyan aata nahin hai ki is rah mein to har ek jaane wale ke bas mein hai manzil main chal dun chalun aaiye aaiye aap kyun is jagah aise chup-chap tanha khade hain agar aap kahiye to hum ek achhuti si tahni se do phul bas bas mujhe is ki koi zarurat nahin hai main ek dost ka rasta dekhta hun magar wo chala bhi gaya hai mujhe phir bhi taskin aati nahin hai ki main ek sahra ka bashinda malum hone laga hun khud apni nazar mein mujhe ab koi band darwaza khulta nazar aae ye baat mumkin nahin hai main ek aur aandhi ka mushtaq hun jo mujhe apne parde mein yaksar chhupa le mujhe ab ye mahsus hone laga hai suhana saman jitna bas mein tha mere wo sab ek bahta sa jhonka bana hai jise hath mere nahin rok sakte ki meri hatheli mein amrit ki bunden to baqi nahin hain faqat ek phaila hua khushk be-barg be-rang sahra hai jis mein ye mumkin nahin main kahun ek aaya gaya dusra aaega raat meri guzar jaegi