jawahar lal nehru

By masooda-hayatMay 23, 2021
nehru tujh par naz karega sadiyon hindostan
shayad paida ho na sakega phir aisa insan
mila hai tere rup mein hum ko ek bada wardan
bhai-chaara mel-mohabbat hai teri pahchan


isi liye to karti hai duniya tera samman
aish-o-ishrat ki duniya ko tu ne yaksar chhoda
jang-e-azadi mein tufanon ka munh bhi moda
azm-o-himmat se dushman ki talwaron ko toda


bhai-chaara mel-mohabbat hai teri pahchan
isi liye to karti hai duniya tera samman
jadu sa kar deti thin dil par teri taqriren
fikr-o-amal ki dawat deti hain teri tahriren


saji hui hain gosha-e-dil mein teri hi taswiren
bhai-chaara mel-mohabbat hai teri pahchan
isi liye to karti hai duniya tera samman
des mein aazadi ka parcham jab tu ne lahraya


sukhe kheton ko kitni tadbiron se lahkaya
kitni mehnat aur lagan se gulshan ko mahkaya
bhai-chaara mel-mohabbat hai teri pahchan
isi liye to karti hai duniya tera samman


bachcha bachcha bhaarat ka tere hi gun gata hai
gulshan ke phulon mein teri hi khushbu pata hai
teri hi rahon par chalna har dil ko bhata hai
bhai-chaara mel-mohabbat hai teri pahchan


isi liye to karti hai duniya tera samman
30218 viewsnazmEnglish