hamein jawani mein maut aaegi bhigte takiye ke sard sine pe apni sanson mein garm banhon ki pyas le kar sulagne wali har ek doshiza jaanti hai ki aankh jab khwab ke sahife ko chat le gi to nuh capsule se pukarega pyare bete' aman mein aao lo, main ne jo qabr umr ke belche se apne liye banai hai us ki ranon mein tum bhi apna badan sameto tumhaare ek hath chand aur dusre pe suraj ki maslahat ki craze qaem rahe glamour tumhaare collar mein phul ban kar khile ai bete, ye shahr uryaniyon mein nuchde-ga aur is par azab daim hai