jawed ke nam

By January 1, 2017
jawed ke nam
dayar-e-ishq mein apna maqam paida kar
naya zamana nae subh o sham paida kar
khuda agar dil-e-fitrat-shanas de tujh ko
sukut-e-lala-o-gul se kalam paida kar


utha na shishagaran-e-farang ke ehsan
sifal-e-hind se mina o jam paida kar
main shakh-e-tak hun meri ghazal hai mera samar
mere samar se mai-e-lala-fam paida kar


mera tariq amiri nahin faqiri hai
khudi na bech gharibi mein nam paida kar
94168 viewsnazmEnglish