jazba-e-ushshaq kaam aane ko hai

By shaheen-iqbal-asarNovember 18, 2020
jazba-e-ushshaq kaam aane ko hai
phir laziz-o-shirin jam aane ko hai
mausam-e-sarma ki aamad marhaba
kyunki is mausam mein aam aane ko hai


khatm hone ko hai waqt-e-intizar
intikhab-e-khas-o-am aane ko hai
dhire dhire chalta langdata hua
khush-ada-o-khush-khiram aane ko hai


muqtadi tayyar hon saf bandh kar
sab phalon ka ab imam aane ko hai
qurbaton ka hoga ab aaghaz phir
furqaton ka ikhtitam aane ko hai


aate hi jaane ki tayyari kare
wo sawar-e-tez-gam aane ko hai
wajd mein yun gungunata hai 'asar'
aam aane ko hai aam aane ko hai


23639 viewsnazmEnglish