jazbaat nafsiyat se baala-tar hain

By omainuz-zahra-sayyadSeptember 28, 2023
yaadon ke hisar mein jakde wajud pe
shab ne aakhiri dastak di
aankh ke satwen parde pe ek aks
musalsal tair raha hai


jis ke bais
nind ko izn-e-haziri nahin mila
hamari baaton ke sare sur sunne wala
nim ka darakht


aur anguthi mein jada aqiq
ek jaise hain
dil pe iztirari kaifiyat tari hai
dimagh tawil masafat ki jaanib gamzan hai


be-khayali mein
hum sara din ek dusre ke
namon mein sabz rang bharte hain
is surkh daere mein


chhupe raaz ko jaanne pe kaam jari hai
dhalti sham ke sae se mere ufuq
siyah hone lage
jazbon ki sadaqat ka daera


jab mukammal hua to
lams ka rang banne laga
meri zat ke madar mein ek nam ka raqs jari hai
siyah gulab ke jazbaat ki akkasi


ilm-e-nafsiyat se baala-tar hai
83382 viewsnazmEnglish