jidhar dekhta hun udhar tu hi tu hai

By narayan-das-puriJanuary 22, 2022
bulbul ke chahchahe mein
ghunchon ke qahqahe mein
rang-e-gul-e-chaman mein
khushbu-e-yasman mein


bustan-e-pur-faza mein
sarsar mein aur saba mein
dariya ke paniyon mein
us ki rawaniyon mein


sahraon mein bhi hun main
parbat ki kundaron mein
suraj mein chandrama mein
anjum mein kahkashan mein


moti ke jhalakne mein
hire ke damakne mein
har sham-e-anjuman mein
parwana ki jalan mein


tabla ki har sada mein
tambur ki nawa mein
aalam ki suraton mein
mitti ki muraton mein


phir qalb-e-parsa mein
aur sina-e-safa mein
naqus mein azan mein
aur wed mein quran mein


kahin ki bansuri mein
aur naghma-e-‘puri’ mein
56161 viewsnazmEnglish