jin raaton mein nind na aae

By khalilur-rahman-azmiFebruary 27, 2024
jin raaton mein nind na aae
tera jagne wala aakhir
kin baaton se ji bahlae
kitne achchhe log the wo bhi


aisi judai ki ghadiyon mein
tare ginte rahte the
jo ek jhuthe wa'de par bhi
jaane kaise khula rakhte the


apne ghar ka darwaza
subh talak aane wale ki
rahen dekha karte the
apne dil ki tanhai ko


chand adhure sapnon se hi
wo aabaad kiye rakhte the
un ke birha ke giton mein
jhilmil aansu ke parde mein


mithe pani ka chashma bhi
dhire dhire bahta tha
tere ek jaane par lekin
mera ye kya haal hua hai


apne aap se main rutha hun
mera dil khud mujh se khafa hai
mere kan bhi meri baaten
mujh se aaj nahin sunte hain


ghar mein itni tariki hai
aankhen sath nahin deti hain
sare rauzan sare dariche
sab darwaze band pade hain


88586 viewsnazmEnglish