jism ke sath aaKHiri lamhe

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
chalo chhutti mili aakhir
subuk-dosh ho gai main pahre-dari se
ek aise jism ki
jo itna nazuk tha


ki us ki ungliyan phal katne wala
koi chaqu bhi ghayal karta rahta tha
hawa kam ho to jis ki nak se khun bahne lagta tha
wo jis ke pair thodi si thakan se suj jate the


ye mere aakhiri lamhe hain apne jism ke sath
bas ek takhta
aur us ke ba'd main aazad hun sair-e-falak ko
sukun dil mein liye is baat ka


ki mere jism ko apni hi maut aai
wo haara bhi to sirf aur sirf apni 'umr se
aur ruh yun bhi
'umr ko ginti nahin hai


dushmanon mein jism ke
61499 viewsnazmEnglish