koi dupatta pahiye mein aae to maut bhi ban sakta hai sharm haya purani thi us ki bas jurm naya tha pak mohabbat mein is sari chaalaki ka matlab kya tha chhaton chhaton aankhen ladne tak thik tha sab kuchh lekin sune ghar mein milna jism ko aage rakh kar khud pichhe chhup jaana phir kahna bas ab ruk jao bas ab jao kyon sunta main bolo aakhir kyon rukta main jism ki wo tauhin meri tauhin na thi kya