hum ped lagaenge mahaul banaenge ped laga kar jiwan mein khush-haali laenge hum ped lagaenge mahaul banaenge is badhte pardushan ko hum dur bhagaenge hum ped lagaenge mahaul banaenge kitna sundar pedon se mausam ho jata hai garmi mein temperature bhi kuchh kam ho jata hai ped laga kar hum sab ko garmi se bachaenge hum ped lagaenge mahaul banaenge carbon dioxide paudon ka bhojan hai jo hai maut hamari wo paudon ka jiwan hai oxygen bhi hum sab in paudon se paenge hum ped lagaenge mahaul banaenge ped hamari dharti ko katne se bachate hain ped hi registanon ko badhne se bachate hain ped laga kar dharti ko gahne pahnaenge hum ped lagaenge mahaul banaenge ped hamari is dharti par barish late hain ped jahan hote hain amrit-jal barsate hain garmi ke mausam mein hum barish mein nahaenge hum ped lagaenge mahaul banaenge phul jadi buti aur phal paudon se milte hain gehun dalen aur chawal paudon se milte hain hum har chiz zarurat ki paudon se paenge hum ped lagaenge mahaul banaenge tel dawaen aur masalhe in se milte hain rang birange phul chaman mein in par khilte hain hum apni dharti ko phulon se mahkaenge hum ped lagaenge mahaul banaenge jab dharti par har jaanib hariyali chhaegi phir ye dharti swarg se bhi sundar ho jaegi mor papiha koyal bulbul mil kar gaenge hum ped lagaenge mahaul banaenge