kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai ki zindagi teri zulfon ki narm chhanw mein guzarne pati to shadab ho bhi sakti thi ye tirgi jo meri zist ka muqaddar hai teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi ajab na tha ki main begana-e-alam ho kar tere jamal ki ranaiyon mein kho rahta tera gudaz-badan teri nim-baz aankhen inhi hasin fasanon mein mahw ho rahta pukartin mujhe jab talkhiyan zamane ki tere labon se halawat ke ghunt pi leta hayat chikhti phirti barahna sar aur main ghaneri zulfon ke sae mein chhup ke ji leta magar ye ho na saka aur ab ye aalam hai ki tu nahin tera gham teri justuju bhi nahin guzar rahi hai kuchh is tarah zindagi jaise ise kisi ke sahaare ki aarzu bhi nahin zamane bhar ke dukhon ko laga chuka hun gale guzar raha hun kuchh an-jaani rahguzaron se muhib sae meri samt badhte aate hain hayat o maut ke pur-haul kharzaron se na koi jada-e-manzil na raushni ka suragh bhatak rahi hai khalaon mein zindagi meri inhi khalaon mein rah jaunga kabhi kho kar main jaanta hun meri ham-nafas magar yunhi kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai