raat ke pahlu mein baitha hai sunahri azhdaha ahmarin phunkar ke maddham suron ka shor hai is ghadi lagta hai wo kuchh aur hai band hote aur khulte daeron ke darmiyan aap apni zat ke girdab mein jaise koi dewta mehrab mein waqt ke is naqsha-e-mubham pe kaun us ke maskan ka lagaega suragh kaun rakkhega hatheli par charagh is ke nish-e-arzu ke zaiqe chakkhega kaun kis ko dildari ki fursat hai yahan han magar ye raat hai is ki rafiq der tak apna badan daswaegi subah hone tak usi ke rang mein rang jaegi