harf goyai ki zanjir mein jab qaid hua ism bana ahd bana nazm bana qissa-e-kaam-o-dahan ka gham-e-matlub bana khub-o-na-khub bana harf-e-na-gufta magar zehn ka aazar bana dil ki diwar bana rah-e-dushwar bana qissa-e-shauq ki warafta kahani na bana hila-e-wasl ki gham-dida nishani na bana war hai manzil-e-goyai sabhi jaante hain harf-e-na-gufta ke ye zakhm magar mere hain jin ko tanhai meri mujh se siwa jaanti hai a distance of two miles