kahani gul-zamina ki

By zehra-nigaahDecember 10, 2020
gul-zamina!
suno
toda-e-khak par
apni konpal si ungli se


kya likh rahi ho?
gul-zamina ne sharbat bhari aankhen upar uthain aur kahne lagi
kuchh hi din qabl
ye toda-e-khak hi mera school tha


main ne allah ka nam
ya-hafizo
us ki diwar par likh diya tha
mere kaghaz


qalam
aur kitaben
mere kumbe ke ham-rah sab mit chuke hain
main yahan roz aati hun


apni yaadon ke baste se
pichhle sabaq dhundhti hun
safha-e-khak par un ko likhti hun
aur laut jati hun


meri qismat mein padhna nahin hai
na ho!
mera aamokhta
mera likhna to jari rahe


16984 viewsnazmEnglish