sar-e-rah ped jamun ka khada hai bada chhitnar hai saya ghana hai thake haare musafir us ke niche koi leta koi baitha hua hai main guzra jab udhar se to ye dekha ki us ke niche ek majma' laga hai musafir kuchh ziyaada aa gae hain koi kuchh aur koi kuchh bolta hai yakayak ek jhonke se hawa ke paka jamun zamin par gir raha hai wo kali kali pakki pakki jamun jo dekha sab ka man lalcha raha hai utha kar us ko khane lag gae sab maza khane ka bhi aane laga hai wahin ek shakhs bola dusre se ki jamun khane ko ji chahta hai mere munh mein bhi dalo ek jamun mera ji is ko chakhna chahta hai jawaban dusra bola musafir are tu bawla sa ho raha hai tujhe jamun utha kar main khilaun utha le khud qabahat is mein kya hai suni main ne jo un donon ki baaten mera dil khun ke aansu ro pada hai hain duniya mein kuchh aise log maujud ki jin se bojh dharti ka badha hai jo khud apna bhala bhi kar na pae hua kab us se ghairon ka bhala hai wo kya pahunchaega logon ko rahat jo apni rah ka roda bana hai