kahin se shama uTha lao

By tanha-timmapuriJuly 14, 2021
hazar lakh umidon ka ham-safar suraj
yahan se dur bahut dur thak ke baith gaya
kabhi wo dil ke dariche se jhankta tha kabhi
ulajhta rahta tha palkon ki chhanw se aksar


meri ragon mein rawan tha kabhi lahu ki tarah
kitab-e-umr ka chaaliswan waraq chhu kar
ulajh gaya hun koi rasta nahin milta
yahan se dur bahut dur tak andhera hai


adhuri rah pe suraj ne sath chhod diya
kahin se shama utha lao taki dekh sakun
meri hayat ka agla waraq bhi hai ki nahin
kahin se shama utha lao


warna ye sansen
meri hayat ke auraq muntashir karke
bigad dengi mere dard ki kahani ko
ye wo kahani hai jis ko na koi jaan saka


khud apne aap ko padhne ki aarzu hi rahi
koi padhe na padhe khud hi padh ke dekh to lun
khud apne dard pe roun hansun ki chup hi rahun
ye meri aakhiri khwahish ka aakhiri lamha


guzarna hai jise har tarah se apne liye
yahi hai saat-e-bedar
is andhere mein
kahin se shama utha lao raushni ke liye


60415 viewsnazmEnglish