zamin se to ye baat hai dur ki magar kahkashan hai sadak nur ki kahin saf-ba-saf rang ki botalen jalai hain ya charkh ye mashalen karen ghaur to aql so jaegi nazar itne taron mein kho jaegi ye raste mein shoale bichhae gae ki bijli ke tukde udae gae idhar se udhar tak hai dariya-e-nur ki aaina ho gaya chur chur zamin par kahan is qadar rang-o-rup ye shayad farishton ki hai daud dhup nazar aa raha hai ye taron ka bagh farishton ne raushan kiye hain charagh wo bharpur hai raushni ka saman ki jaise pise chand suraj yahan saman dekh kar tum kahan kho gae 'chaman' ji tum aa kar yahan so gae