kaho kuchh to kaho
By qazi-saleemMay 27, 2021
kaho shayad hamare gosht ke andar
lahu ke barqiyon mein
aur dhamakti dhamniyon mein
aankh ban kar ab bhi koi jagta hai
wahi sachchaiyon ki qabr ka aaseb
andhe aainon ke aks ko kaunda
hamesha ke samundar ka bulawa
maut ki sanson ka lahra
bhik ka kasa
kuchh aisa jis ki shayad ek chhuwan se
hamari khud-kushi qurbaniyon ka nam pati hai
kaho jo kuchh bhi hai
jaisa bhi hai
wo aaj zinda hai
kaho kuchh to kaho wo jhut hi phir aaj doharao
lahu ke barqiyon mein
aur dhamakti dhamniyon mein
aankh ban kar ab bhi koi jagta hai
wahi sachchaiyon ki qabr ka aaseb
andhe aainon ke aks ko kaunda
hamesha ke samundar ka bulawa
maut ki sanson ka lahra
bhik ka kasa
kuchh aisa jis ki shayad ek chhuwan se
hamari khud-kushi qurbaniyon ka nam pati hai
kaho jo kuchh bhi hai
jaisa bhi hai
wo aaj zinda hai
kaho kuchh to kaho wo jhut hi phir aaj doharao
96896 viewsnazm • English