kal jab daraKHt na honge

By ashraf-jawed-malikMay 23, 2021
baya se chidiya
chidiya se tote
aur tote se kawwe
nil-kanth woodpecker


aur lali tak
parindon jaanwaron
aur insanon ka
rizq aur jiwan


baham
aapas mein jude hue hain
darakhton paudon
phulon aur phalon se


hum sab ka jiwan hai
darakhton ki hariyali tak
hum sab hariyal hain
kal jab


darakht nahin honge
to
kuchh bhi na hoga
bad-bakhti hum par


kutte ki surat bhaunkegi
kal hum ko
sab aaram mayassar honge
lekin


hum khush-bakht na honge
shayad
jine ki sarsabz tamanna
dali dali


sisak sisak kar
mar jaegi
ye taj aur takht na honge
shayad


viran samay
barish ko tarsenge
har-su aag ke shoale honge
tab hum par


dhuen kalak
aur
carbon ke ajza barsenge
jina hai to bahar aao


apne liye
aur aane wali naslon ki
khatir
darakht lagao


bahar aao
aaj parinde aur jaanwar
mushkil mein hain
jald hamari bari hai


dekho
sar pe maut khadi hai
aur ban par
wahshat tari hai


pahle
jahan nadi bahti thi
ab ke wahan par
khun ka dariya jari hai


faslen ghalla aur
darakht hain
sab ki zarurat
kisan hai


ya koi haari hai
mang sabhi ki
gosht hai
dudh aur phal hain


sabzi aur tarkari hai
wo ghar bhi
kya ghar hai jahan par
phal phul hain


na phulwari hai
kal jab darakht nahin honge
hum khush-bakht nahin honge
25858 viewsnazmEnglish