aise hi baithe idhar bhayya the daen jaanib un ke nazdik badi aapa shabana ko liye apni sasural ke kuchh qisse latife baaten yun sunati thin hanse padte the sab samne amman wahin khole pitari apni munh bhare pan se samdhan ki inhen baaton par jhunjhlati thin kabhi tanz se kuchh kahti thin hum ko ghere hue baithi thin naima shahnaz waqfe waqfe se kabhi donon mein chashmak hoti hasb-e-mamul sambhaale hue khana-dari manjhli aapa kabhi aati kabhi jati thin hum se dur abba usi kamre ke ek kone mein kaghzat apne araazi ke liye baithe the yak-ba-yak shor hua mulk naya mulk bana aur ek aan mein mahfil hui darham-barham aankh jo kholi to dekha ki zamin lal hai sab taqwiyat zehn ne di thahro nahin khun nahin pan ki pik hai ye amman ne thuki hogi