zindagi aaj bhi ek masala hai na takhayyul na haqiqat na fareb-e-rangin git qurban kiye shola-e-dil nazr naghma-e-khwab diye phir bhi ye masala git mausam ka hasin jism ka khwabon ka jise main ne aur mere ham-asron ne gaya tha use zindagi sunti nahin sun ke bhi hans deti hai aag jazbaat ki aag dil-nashin shabnamin masum khayalat ki aag apne qasbe ki kisi dard bhari raat ki aag zindagi aaj bhi har aag pe hans deti hai kaun jaane ki meri tarah ho marghub ise dard-e-dil nashsha-e-mai zindagi aaj bhi ek masala hai aur ise hal hona hai main agar naza mein hun hal to ise hona hai dil ye kahta hai ki le jae jahan raat chalo aur science ye kahti hai, mere sath chalo