wadi-e-kashmir hai ya chashma-e-qudrat hai ye goshe goshe mein jo bikhri be-baha daulat hai ye jangalon ke bich mein aab-e-rawan kausar-sifat ai khuda kya is zamin par dusri jannat hai ye barf ki dastar bandhe saf-ba-saf parbat yahan karte hain hamd-o-sana allah ki qudrat hai ye khushnuma phulon mein bhi rangon ka ek sailab hai chaar-su dilkash fazaen is ki bas fitrat hai ye ye hamari zindagi hai hum hain is ke pasban mukhtasar itna samajhiye mulk ki izzat hai ye