kashmir
By rifat-saroshNovember 14, 2020
aamajgah-e-nur hai kohsar-e-himala
hai ghairat-e-sad-tur ye bhaarat ka shiwala
kohsar nahin taj-e-watan amn ka haala
sahba-e-mohabbat ka chhalakta hua pyala
kashmir himala ka dhadakta hua dil hai
is wadi ka har phul mahakta hua dil hai
is wadi ki tarikh ukhuwwat ka fasana
is wadi ka har naghma mohabbat ka tarana
is wadi ka har zarra maani ka khazana
is wadi ki tahzib ne dekha hai zamana
ye wadi-e-gul aaj bhi gulzar-e-iram hai
is wadi ka har phul bahaaron ka sanam hai
hai ghairat-e-sad-tur ye bhaarat ka shiwala
kohsar nahin taj-e-watan amn ka haala
sahba-e-mohabbat ka chhalakta hua pyala
kashmir himala ka dhadakta hua dil hai
is wadi ka har phul mahakta hua dil hai
is wadi ki tarikh ukhuwwat ka fasana
is wadi ka har naghma mohabbat ka tarana
is wadi ka har zarra maani ka khazana
is wadi ki tahzib ne dekha hai zamana
ye wadi-e-gul aaj bhi gulzar-e-iram hai
is wadi ka har phul bahaaron ka sanam hai
76925 viewsnazm • English