kashmiri murghi

papa mere kashmir se aae
sath mein ek murghi bhi lae

nasl bhi is ki kashmiri hai
rup ada bhi kashmiri hai

kitni sundar kitni pyari
par hain is ke ya gul-kari

qaus-o-quzah se rang hain is ke
ude pile lal aur nile

ande deti hai rozana
khub hi khati hai ye dana

sahn mein din bhar ghumti hai ye
har shai achchhi chumti hai ye

pas hai kude ke jati
gandi chizen bhi hai khati

bablu jab bhi pas bulae
daud ke fauran ye bhi aae

kat kun kat kun karti hai ye
apna raqs dikhati hai ye

god mein phir wo le leta hai
munh mein dana de deta hai

chyunte kide ki dushman hai
chidiya kawwe ki dushman hai

chonch se mar bhaga deti hai
jit ki phir ye sada deti hai

yun to bahadur aur jari hai
lekin ek aadat ye buri hai

billi jab bhi aa jati hai
ye darbe mein ghus jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close