kashtiyan

By badiuzzaman-khawarOctober 8, 2023
bana sakta hun main bhi khub-surat kashtiyan
lekin
umadte hi nahin baadal
barasta hi nahin pani


machalti hi nahin naddi
bana sakta hun main bhi khub-surat kashtiyan
lekin
na bahta hai koi nala


na banti hai koi kashti
na chalti hai koi kashti
bana sakta hun main bhi khub-surat kashtiyan
lekin


banana chahta hun jab bhi koi khushnuma kashti
uda leta hai kaghaz khushk mausam
mere hathon se
25282 viewsnazmEnglish