aage pichhe daen baen kaen kaen kaen kaen subh-sawere nur ke tadke munh dho-dha kar nanhe ladke baithte hain jab khana khane kawwe lagte hain mandlane tauba tauba dhit hain kitne kawwe hain ya kale fitne lakh hankao lakh udao munh se cikho hath hilao ghuro ghudko ya dhutkaro koi chiz utha kar maro kawwe baz nahin aate hain jate hain phir aa jate hain har dam hai khane ki aadat shor machane ki hai aadat bachchon se bilkul nahin darta un ki kuchh parwa nahin karta dekha nanha bhola-bhaala chhin liya hathon se niwala koi ishaara ho ya aahat tad ke ud jata hai jhat-pat ab karne do kaen kaen hum kyun apni jaan khapaen