KHak aur KHun

By bazm-ansariJanuary 19, 2024
ai meri munis-e-gham ai meri pursan-e-mizaj
tu ne afsurdagi-e-dil ka sabab puchha hai
kya bataun tujhe kis soch mein hai qalb-e-hazin
kya sunaun ki meri aankh ne kya dekha hai


khak aur khun ke ghamnak manazir tauba
kis qadar zabt-shikan jalwa-gah-e-duniya hai
hasraten khak mein milti hui dekhin kya kya
kitni ma'sum tamannaon ka khun dekha hai


aah wo gul jo na the nim-shagufta bhi hanuz
daf'atan baad-e-khizan ne jinhen aa raunda hai
kitna be-maya hai is daur mein insan ka lahu
kitna majbur hai insan kabhi socha hai


ek taraf gardish-e-haalat-e-zamana hai mere
ek taraf tera ye israr ki khush rahna hai
shiddat-e-his mujhe majruh kiye jati hai
zindagi hai ki nae zakhm diye jati hai


ai meri munis-e-gham ai meri pursan-e-mizaj
tu ne afsurdagi-e-dil ka sabab puchha hai
76329 viewsnazmEnglish