KHamushi
By omainuz-zahra-sayyadSeptember 28, 2023
khizan ki dastak
dhund mein lipte raste
sard hawa ke thapedon se
nabard-azma hain
alaw ke pas
shaal odhe
kaghaz ke tukdon mein
mata-e-hayat jalati hui ladki
dastan-e-dil sunate hue
aansuon ke chand qatre gire
aag sisak uthi
sannate ki dahshat
kisi tufan ka pesh-khema ho sakti hai
tik tik tik
ghadi ki kuk sunte
samaaten sath chhodne lagin
manzar dhundla gae
wajud ke sahra mein
ret udne lagi
aur khamushi
us ke labon pe ja kar so gai
dhund mein lipte raste
sard hawa ke thapedon se
nabard-azma hain
alaw ke pas
shaal odhe
kaghaz ke tukdon mein
mata-e-hayat jalati hui ladki
dastan-e-dil sunate hue
aansuon ke chand qatre gire
aag sisak uthi
sannate ki dahshat
kisi tufan ka pesh-khema ho sakti hai
tik tik tik
ghadi ki kuk sunte
samaaten sath chhodne lagin
manzar dhundla gae
wajud ke sahra mein
ret udne lagi
aur khamushi
us ke labon pe ja kar so gai
62919 viewsnazm • English