khanakti mitti mein raushni ki milawaton se bani hui ho kiran ho ya'ni safed shaffaf nur se tum jani hui ho ye rang-o-ra'nai aur mohabbat tere liye hai tamam phulon ki ye 'aqidat tere liye hai suna hai tere janam pe janmi gai thi khushbu gulon ko tere janam pe tohfa diya gaya tha sitare tere siyah baalon ke waste hain suna hai ye chand tere mathe pe ek tika laga hua tha tujhe bana ke khuda-e-rabb-e-jamal kitna hi khush hua tha har ek farishta kamal-e-hairat se tere chehre ko dekhta tha suna hai jharne tumhaari aawaz ke ta'aqub mein phutte hain suna hai dariya tumhaare pairon ko chhu ke mithe bane hue hain main sun raha hun main sochta hun ki tu bhi kya hai kisi ki minnat hai ya du'a hai guzishta ikkis sal tum ne kahan bitae wo kaun duniya thi jo tumhaare hasin qadmon ka lams le ke mahak rahi thi wo koi bhi the magar bala ke nasib wale the main sochta hun ki aane wale janam pe agle baras na jaane ye husn tera kahan khulega wo kaun khush-bakht shakhs hoga tujhe kahega janam mubarak wo jo bhi hoga khuda salamat rakhe sabhi ko hum aise andhe faqir lamhon mein ji rahe hain aur is ghadi tum faqat hamari ho husn-zadi hum aise lamhon mein sadiyan jine ke fan mein mahir tumhein tumhaare janam ke din par hasin ghadiyon mein kah rahe hain hamari aankhon ko dad-e-didar dene wali hasin dewi tumhein mohabbat ke is jazire pe aane wali ghadi mubarak jo tum ko dekhen jo tum ko chahen jo tum ko sochen unhen ye do din ki zindagani badi mubarak