mere jism ke paintraon se pareshan thi wo main ne samjhana chaha use khuda jaanta hai ki ratti barabar mujhe aur jine ki khwahish nahin sach to ye hai aise mehman se munh chhupana ki jo sirf mere liye aasmanon se aaya ho sharminda karta hai mujh ko bhala ek insan ke bas mein kahan maut ko chhedna main to darta hun tum se ye koi aur hai jo mere sard pairon ko phir garm kar ke tumhein chhedta hai mere ghar ke chakkar lagane pe majbur karta hai magar wo sisakti rahi apne pairon ke chhaalon ko roti rahi aur main hairat-zada sochne par ye majbur tha kya meri maut bhi mere marne ke din meri sanson ki ginti ke bare mein utni hi anjaan hai jitna main