lamhe nae hain sal naya aarzu nai himmat nahin hai rah nai justuju nai lagti hai hum ko aaj har ek guftugu nai ujla sa aaftab hai chhabbis january khilta hua gulab hai chhabbis january jis din bana tha mulk mein aain-e-khush-gawar apne chaman mein aai thi jis din nai bahaar jo din hai apni azmat-o-rifat ki yaadgar us din ka ek bab hai chhabbis january khilta hua gulab hai chhabbis january har rah-rau ki lal qile par nazar hai aaj uncha jahan mein apne tirange ka sar hai aaj aazadi-e-watan ki khushi auj par hai aaj raushan hai kaamyab hai chhabbis january khilta hua gulab hai chhabbis january dil mein buland hausle rakhte hain naujawan swaraj mil gaya hai to bachche hain shadman masrur zindagi hai irade hain kaamran ek jashn-e-ab-o-tab hai chhabbis january khilta hua gulab hai chhabbis january