KHizan ka mausam ruka hua hai

By shakeel-azmiFebruary 29, 2024
gai ho jab se
main ek kamre mein band sa hun
tumhaari yaaden
mere khayalon mein


jugnuon ki qatar ban kar chamak rahi hain
tumhaari zulfen
mere tasawwur ki wadiyon mein mahak rahi hain
wo baal


chahat ki sa'aton mein
tumhaare sar se jo gir gae the
unhen main chun kar
badi mohabbat se sunghta hun


tumhaare kurte se tut kar jo
safed moti bikhar gae the
unhen main chun kar
badi 'aqidat se chumta hun


wo mera kamra
tumhaare aane se
jo chaman mein badal gaya tha
hazaron rangon ke phul khilne lage the jis mein


tumhaare jaane se
phir se viran ho gaya hai
wo dil
jo dhadka tha tum se mil ke


wo phir se be-jaan ho gaya hai
na ab kitabon mein sha'iri hai
na ab sharabon mein be-khudi hai
na ab gulabon mein tazgi hai


tamam gamle
tamam paude
meri tarah se ujad chuke hain
har ek shai pe khizan ka mausam ruka hua hai


mere labon pe
tumhaare boson ki jo nami thi
wo khushk hone lagi hai jaanan
meri nazar mein


tumhaari aankhon ka jo nasha tha
wo khatm hone laga hai jaanan
meri zaban pe
tumhaare ashkon ka jo namak tha


wo paniyon mein badal raha hai
tumhaari banhon ka
meri banhon mein
lams tha jo


wo sardiyon mein badal raha hai
tum aa bhi jao
ki dil ko phir se
qarar aae


surur aae
khumar aae
ki zindagi mein bahaar aae
79268 viewsnazmEnglish