surmai baadalon ko uda le gai ras bhari barishen kha gai ab ufuq par hain zahrab nilahaten kasni bel diwar par soi hi rah gai nargisi phul the jagte rah gae champai rangton mein ajab zardiyan ghul gain khel rangon ka hai ot kaghaz ki hai hath ki be-hunar larzishen rang kab chun sakin sochte sochte aankh sakit hui kaun se rang mein kaun sa rang hai ghul gaya aatishin hai dahak ya gulabi mahak dekhti bhi nahin sunghti bhi nahin chhu ke bhi to yahan se guzarti nahin kaun si his jaghon ki jage hua