zindagi nach ki har lamha hai jannat-ba-kanar dekh ye lab hain ye aankhen ye gulabi rukhsar phir na aaegi palat kar teri duniya mein bahaar aaj ki raat ghanimat hai charaghan kar len ek angdai jo li khul gain kali zulfen phir mujhe khinch rahi hain ye ghaneri palken dekh haijaan se larzan hain ye aariz ki ragen aaj us jins-e-giran-bar ko arzan kar len aaj ki raat ghanimat hai charaghan kar len dekh wo hont hile hath uthe saz baje dekh pazeb ki har lai pe sitare chaunke aasmanon pe farishton ke wuzu tut gae aaj masum khudaon ko bhi mehman kar len aaj ki raat ghanimat hai charaghan kar len raat kuchh bhig chali aur jamahi aai jhilmilati hui shamon ki ziya kanp gai rakh de ye aatish-e-sayyal ki phir aag lagi aakhiri bar har ek dard ka darman kar len aaj ki raat ghanimat hai charaghan kar len kya gharaz waqt ke mathe pe shikan hai ki nahin meri mahbub kalai mein rasan hai ki nahin tera aanchal hi shahidon ka kafan hai ki nahin har haqiqat ko usi khwab mein ghaltan kar len aaj ki raat ghanimat hai charaghan kar len