khun ki khushbu udi to khud-kushi chikhi ki main hi zindagi hun aao ab is wasl ki saat ko chumo mar gai thi jite-ji main aur tum jine ki khatir lamha lamha mar rahe the khud masiha bhi the aur bimar bhi the (aur khud apni jarahat ke liye tayyar bhi the) aao ab ji bhar ke sungho khun ki khushbu ki main hi zindagi hun mere honton se piyo aao, mujhe bahon mein le lo wasl ki saat yahi hai tum faqat jine ki koshish kar rahe the jaan-kani ke la-shuuri khwab se le kar wiladat ke shuuri lamha-e-be-dar tak!