zulm phir zulm hai badhta hai to mit jata hai khun phir khun hai tapkega to jam jaega khak-e-sahra pe jame ya kaf-e-qatil pe jame farq-e-insaf pe ya pa-e-salasil pe jame tegh-e-be-dad pe ya lasha-e-bismil pe jame khun phir khun hai tapkega to jam jaega lakh baithe koi chhup-chhup ke kamin-gahon mein khun khud deta hai jalladon ke maskan ka suragh sazishen lakh udati rahin zulmat ki naqab le ke har bund nikalti hai hatheli pe charagh zulm ki qismat-e-nakara-o-ruswa se kaho jabr ki hikmat-e-parkar ke ima se kaho mahmil-e-majlis-e-aqwam ki laila se kaho khun diwana hai daman pe lapak sakta hai shoala-e-tund hai khirman pe lapak sakta hai tum ne jis khun ko maqtal mein dabana chaha aaj wo kucha o bazar mein aa nikla hai kahin shoala kahin nara kahin patthar ban kar khun chalta hai to rukta nahin sanginon se sar uthata hai to dabta nahin aainon se zulm ki baat hi kya zulm ki auqat hi kya zulm bas zulm hai aaghaz se anjam talak khun phir khun hai sau shakl badal sakta hai aisi shaklen ki mitao to mitae na bane aaise shoale ki bujhao to bujhae na bane aaise nare ki dabao to dabae na bane
This is a great image shayari sad. True lovers of hindi shayari nare pe will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this dosti kamini shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!