mausam-e-sarma ki raat jis ke sardi mein rache barfile hath jab bhi chhute hain mujhe kapkapa uthta hun main main ajab barzakh mein hun apni biwi ka shanasa jism bhi ab mujhe sairab kar sakta nahin mere andar khwahishon ka ek pyasa bhediya aaj be-kal hai bahut khun-e-taza ke liye