KHushbu

By mehr-husain-naqviFebruary 27, 2024
kisi ehsas ko bedar karti dil-nashin khushbu
kahin barish ki bundon se nikalti ret ki khushbu
mo'attar karti yaadon ko kisi
manus se ek 'itr ki khushbu


kabhi dulhan ke hathon se uthe rang-e-hina ban kar bikharte khwab
ki khushbu
kahin raushan mazaron par agarbatti se phulon se du'aon ke jazire se judi ek zat ki khushbu
bahut nauha-kunan girya-kunan har dam mahakti si kisi ki qabr par phaile hue taza gulabon ki bahut viran si khushbu


judi ek yaad se khushbu
bahut nayab hoti hai
mo'attar ruh ko kar de
purane zakhm sab bhar de hasin lamhat ki khushbu


to phir ye bhi yaqini hai
'ata ehsas ko ye lams ka
bhi mo'jiza de kar bahut masrur
rakhti hai


10814 viewsnazmEnglish