KHwab

By abid-almiOctober 6, 2022
mujh ko lauta de mera mazi ki waqt-e-sang-dil
aaj main bhi ai dil-e-afsurda thoda sabr kar
tujh se poshida nahin main kis qadar majbur hun
aaj main bhi tere kuche ka gadagar ban gaya


ab kahan wo walwale main ek shikaston ka mazar
ban ke rah-e-justuju mein rah gaya hun aaj gham
meri nakaami ke afsane sunaega mujhe
waqt tha jab ek aalam mere qadmon ke nishan


dhundhta phirta tha har virana o har shahr mein
aur tu hairan tha meri tezi-e-raftar par
yaad hai tujh ko meri parwaz ka aalam ki jab
raat bhar mere taaqub mein falak ka karwan


gamzan rahta tha aur main ne sahar se bhi pare
ek nai duniya bana li thi nai duniya-e-shauq
kyon teri taqdir mein tha aisa koi inqalab
kyon teri taufiq mein aisi koi takhliq thi


khwab mera pairahan the khwab meri zindagi
khwab mere ham-safar the khwab mere rahnuma
main faqat ek khwab tha lekin mukammal khwab tha
65135 viewsnazmEnglish