khule paniyon mein ghiri ladkiyan narm lahron ke chhinte udati hui baat-be-baat hansti hui apne khwabon ke shahzadon ka tazkira kar rahi thin jo khamosh thin un ki aankhon mein bhi muskurahat ki tahrir thi un ke honton ko bhi an-kahe khwab ka zaiqa chumta tha! aane wale nae mausamon ke sabhi pairahan nilmin ho chuke the! dur sahil pe baithi hui ek nannhi si bachchi hamari hansi aur maujon ke aahang se be-khabar ret se ek nanha gharaunda banane mein masruf thi aur main sochti thi khuda-ya! ye hum ladkiyan kachchi umron se hi khwab kyun dekhna chahti hain khwab ki hukmarani mein kitna tasalsul raha hai!