kinare par koi aaya tha jis ka khali bajra dolta rahta hai pani par koi utra tha bajre se wo manjhi hoga jis ke panw ke maddham nishan ab tak dikhai de rahe hain gile sahil par gaya tha kahkashan ke par ye kah kar abhi aata hun thahro us kinare par zara main dekh lun kya hai ye bajra dolta rahta hai is thahre hue dariya ke pani par wo lautega ya main jaun mujhe us par jaana hai