kirdar

By mohsin-ehsanNovember 7, 2020
dekho
hum sab ek safed kanwal par
tek lagae tair rahe hain
aur mahsus ye karte hain ki hum ne khud ko


naf-e-zamin se mazbuti se bandh rakha hai
apni har khwahish ko hum ne
qatl kiya hai
taki dil mein koi tamanna sar na uthane pae


zehn mein koi naya khayal agar dar aata hai
to hum is par
khud apne hathon chuna kar dete hain
koi rauzan


taza hawa ke phankne ko gar khulta hai
to kichad se bhar dete hain
81241 viewsnazmEnglish