kirshn ka KHitab

By sabir-abuhariSeptember 30, 2023
fana hone lagta hai jis waqt dharm
masiha-nafas ban ke aata hun main
ata kar ke us ko nai zindagi
tabahi ki zad se bachata hun main


mita kar zamane se baatil ka nam
sadaqat ka danka bajata hun main
kamar-basta hote hain jo jang par
unhen rah-e-ulfat dikhata hun main


sunen jo na phir bhi nasihat meri
zamane se un ko mitata hun main
jo ladte hain duniya mein haq ke liye
zafar-yab un ko banata hun main


baja kar kabhi to madhur bansuri
mohabbat ke naghme sunata hun main
kabhi garm karta hun maidan-e-jang
shujaat ke jauhar dikhata hun main


kabhi jang mein bahr-e-irfan-e-haq
fasahat ke dariya bahata hun main
sikha kar bashar ko rumuz-e-hayat
farishton ka ham-sar banata hun main


jo late hain iman meri zat par
gunahon se un ko bachata hun main
unhen bakhshta hun baqa-e-dawam
jinhen mo'taqid apna pata hun main


sharan mein jo aate hain 'sabir' meri
tanasukh se un ko chhudata hun main
27111 viewsnazmEnglish