bataun kya tujhe ai ham-nashin kis se mohabbat hai main jis duniya mein rahta hun wo is duniya ki aurat hai sarapa rang-o-bu hai paikar-e-husn-o-latafat hai bahisht-e-gosh hoti hain guhar-afshaniyan us ki wo mere aasman par akhtar-e-subh-e-qayamat hai surayya-bakht hai zohra-jabin hai mah-e-talat hai mera iman hai meri zindagi hai meri jannat hai meri aankhon ko khira kar gain tabaniyan us ki wo ek mizrab hai aur chhed sakti hai rag-e-jaan ko wo chingari hai lekin phunk sakti hai gulistan ko wo bijli hai jala sakti hai sari bazm-e-imkan ko abhi mere hi dil tak hain sharer-samaniyan us ki zaban par hain abhi ismat o taqdis ke naghme wo badh jati hai is duniya se aksar is qadar aage mere takhil ke bazu bhi us ko chhu nahin sakte mujhe hairan kar deti hain nukta-daniyan us ki jabin par saya-gustar partaw-e-qindil-e-rahbani azar-e-narm-o-nazuk par shafaq ki rang-afshani qadam par lotti hai azmat-e-taj-e-sulaimani azal se mo'taqid hai mahfil-e-nuraniyan us ki adaen le ke aai hai wo fitrat ke khazanon se jaga sakti hai mahfil ko nazar ke tazyanon se wo malka hai khiraj us ne liye hain bostanon se bas ek main ne hi aksar ki hain na-farmaniyan us ki wo meri juraton par be-niyazi ki saza dena hawas ki zulmaton par naz ki bijli gira dena nigah-e-shauq ki bebakiyon par muskura dena junun ko dars-e-tamkin de gain nadaniyan us ki wafa khud ki hai aur meri wafa ko aazmaya hai mujhe chaha hai mujh ko apni aankhon par bithaya hai mera har sher tanhai mein us ne gungunaya hai suni hain main ne aksar chhup ke naghma-khwaniyan us ki mere chehre pe jab bhi fikr ke aasar pae hain mujhe taskin di hai mere andeshe mitae hain mere shane pe sar tak rakh diya hai git gae hain meri duniya badal deti hain khush-alhaniyan us ki lab-e-lalin pe lakha hai na rukhsaron pe ghaza hai jabin-e-nur-afshan par na jhumar hai na tika hai jawani hai suhag us ka tabassum us ka gahna hai nahin aaluda-e-zulmat sahar-damaniyan us ki koi mere siwa us ka nishan pa hi nahin sakta koi us bargah-e-naz tak ja hi nahin sakta koi us ke junun ka zamzama ga hi nahin sakta jhalakti hain mere ashaar mein jaulaniyan us ki