jhutpute ka narm-rau dariya shafaq ka iztirab khetiyan maidan khamoshi ghurub-e-aftab dasht ke kaam-o-dahan ko din ki talkhi se faragh dur dariya ke kinare dhundle dhundle se charagh zer-e-lab arz o sama mein bahami guft-o-shunud mishal-e-gardun ke bujh jaane se ek halka sa dud wusaten maidan ki suraj ke chhup jaane se tang sabza-e-afsurda par khwab-afrin halka sa rang khamushi aur khamushi mein sansanahat ki sada sham ki khunki se goya din ki garmi ka gila apne daman ko barabar qata sa karta hua tirgi mein khetiyon ke darmiyan ka fasla khar-o-khas par ek dard-angez afsane ki shan baam-e-gardun par kisi ke ruth kar jaane ki shan dub ki khushbu mein shabnam ki nami se ek surur charkh par baadal zamin par titliyan sar par tuyur para para abr surkhi surkhiyon mein kuchh dhuan bhuli-bhatki si zamin khoya hua sa aasman pattiyan makhmur kaliyan aankh jhapkati hui narm-jaan paudon ko goya nind si aati hui ye saman aur ek qawi insan yani kast-kar irtiqa ka peshwa tahzib ka parwardigar jis ke mathe ke pasine se pae-izz-o-waqar karti hai daryuza-e-tabish kulah-e-tajdar sar-nigun rahti hain jis se quwwaten takhrib ki jis ke bute par lachakti hai kamar tahzib ki jis ki mehnat se phabakta hai tan-asani ka bagh jis ki zulmat ki hatheli par tamaddun ka charagh jis ke bazu ki salabat par nazakat ka madar jis ke kas-bal par akadta hai ghurur-e-shahryar dhup ke jhulse hue rukh par mashaqqat ke nishan khet se phere hue munh ghar ki jaanib hai rawan tokra sar par baghal mein phaoda tewri pe bal samne bailon ki jodi dosh par mazbut hal kaun hal zulmat-shikan qindil-e-bazm-e-ab-o-gil qasr-e-gulshan ka daricha sina-e-giti ka dil khushnuma shahron ka bani raaz-e-fitrat ka suragh khandan-e-tegh-e-jauhar-dar ka chashm-o-charag dhaar par jis ki chaman-parwar shagufon ka nizam sham-e-zer-e-arz ko subh-e-darakhshan ka payam dubta hai khak mein jo ruh daudata hua muzmahil zarron ki mausiqi ko chaunkata hua jis ke chhu jate hi misl-e-naznin-e-mah-jabin karwaton par karwaten leti hai laila-e-zamin parda-ha-e-khwab ho jate hain jis se chaak chaak muskura kar apni chadar ko hata deti hai khak jis ki tabish mein darakhshani hilal-e-id ki khak ke mayus matla par kiran ummid ki tifl-e-baran tajdar-e-khak amir-e-bostan mahir-e-ain-e-qudarat nazim-e-bazm-e-jahan nazir-e-gul pasban-e-rang-o-bu gulshan-panah naz-parwar lahlahati khetiyon ka baadshah waris-e-asrar-e-fitrat fateh-e-ummid-o-bim mahram-e-asar-e-baran waqif-e-taba-e-nasim subh ka farzand khurshid-e-zar-afshan ka alam mehnat-e-paiham ka paiman sakht-koshi ki qasam jalwa-e-qudrat ka shahid husn-e-fitrat ka gawah mah ka dil mehr-e-alam-tab ka nur-e-nigah qalb par jis ke numayan nur o zulmat ka nizam munkashif jis ki farasat par mizaj-e-subh-o-sham khun hai jis ki jawani ka bahaar-e-rozgar jis ke ashkon par faraghat ke tabassum ka madar jis ki mehnat ka araq tayyar karta hai sharab ud ke jis ka rang bin jata hai jaan-parwar gulab qalb-e-ahan jis ke naqsh-e-pa se hota hai raqiq shoala-khu jhonkon ka hamdam tez kirnon ka rafiq khun jis ka bijliyon ki anjuman mein baryab jis ke sar par jagmagati hai kulah-e-aftab lahar khata hai rag-e-khashak mein jis ka lahu jis ke dil ki aanch ban jati hai sail-e-rang-o-bu daudti hai raat ko jis ki nazar aflak par din ko jis ki ungliyan rahti hain nabz-e-khak par jis ki jaankahi se tapkati hai amrit nabz-e-tak jis ke dam se lala-o-gul ban ke itraati hai khak saz-e-daulat ko ata karti hai naghme jis ki aah mangta hai bhik tabani ki jis se ru-e-shah khun jis ka daudta hai nabz-e-istiqlal mein loch bhar deta hai jo shahzadiyon ki chaal mein jis ka mas khashak mein banta hai ek chadar mahin jis ka loha man kar sona ugalti hai zamin hal pe dahqan ke chamakti hain shafaq ki surkhiyan aur dahqan sar jhukae ghar ki jaanib hai rawan us siyasi rath ke pahiyon par jamae hai nazar jis mein aa jati hai tezi khetiyon ko raund kar apni daulat ko jigar par tir-e-gham khate hue dekhta hai mulk-e-dushman ki taraf jate hue qata hoti hi nahin tariki-e-hirman se rah faqa-kash bachchon ke dhundle aansuon par hai nigah sochta jata hai kin aankhon se dekha jaega be-rida biwi ka sar bachchon ka munh utra hua sim-o-zar nan-o-namak aab-o-ghiza kuchh bhi nahin ghar mein ek khamosh matam ke siwa kuchh bhi nahin ek dil aur ye hujum-e-sogwari hae hae ye sitam ai sang-dil sarmaya-dari hae hae teri aankhon mein hain ghaltan wo shaqawat ke sharar jin ke aage khanjar-e-changez ki mudti hai dhaar bekason ke khun mein dube hue hain tere hat kya chaba dalegi o kambakht sari kaenat zulm aur itna koi had bhi hai is tufan ki botiyan hain tere jabdon mein gharib insan ki dekh kar tere sitam ai hami-e-amn-o-aman gurg rah jate hain danton mein daba kar ungliyan iddia-e-pairwi-e-din-o-iman aur tu dekh apni kuhniyan jin se tapakta hai lahu han sambhal ja ab ki zahr-e-ahl-e-dil ke aab hain kitne tufan teri kashti ke liye be-tab hain