kisi ke samajhdar hone tak

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
qabr kya dhundna
mit gae honge us ke nishan
kahin bhi jala kar laga dun agarbattiyan
muddaton ba'd bhi


wird karte hue sura-e-fatiha ka wahi gunj kanon mein hai
tera bap kya roz pita hai
uf
wo jo sharmindagi ka sabab ho bhala us se kaisi mohabbat


aur waise bhi
ek bachche ki nafrat se sachcha koi aur jazba nahin
dafn ke waqt bhi to main dil mein kahin un se naraaz tha
magar aaj khud jab main us 'umr mein hun


jo papa ki shayad rahi hogi tab
jab main rutha tha un se
mere dil mein ehsas-e-jurm aur sharmindagi ke siwa kuchh nahin
aap sun to rahe hain na papa


mu'afi mujhe chahiye
kya ye mumkin hai
phir khud se kahta hun shayad nahin
wo gae


koi rukta nahin hai kisi ke samajhdar hone talak
sach ki tah mein utarne ke laiq gunahgar hone talak
14527 viewsnazmEnglish