kitab gumrah kar rahi hai

By shahram-sarmadiNovember 18, 2020
kitab gumrah kar rahi hai
pa ek yaqin hai ki
itni gumrahiyon ke pichhe
koi to ek rah hogi


jo manzilon se nahin milegi
safar pe jo gamzan rakhegi
ye shirk-e-kohna
safar ki wahdaniyat ko majruh kar raha hai


kahan ki manzil
kahan hai manzil
ye shirk ke hain sarab sare
hum aap hain mahw-e-khwab sare


ye shirk afyun ban ke khun mein ghula hua hai
hujum-e-manzil mein ab safar ki shanakht
khud ek masala hai
safar khala hai


khala mein jo kuchh bhi ho natija wahi khala hai
yahi khala hai!
khala ko manzil ke naqsh-e-pa se kasif karne ka
ahmaqana khayal chhodo


kitab gumrah kar rahi hai!
safar pe niklo
pa manzilon ke muhib sayon ki zad se
khud ko bachae rakkho


safar pe panw jamae rakkho
ye sab wajud o adam ke qisse
safar mein takhliq ho rahe hain
azal nahin hai abad nahin hai


ye ek safar hai ki had nahin hai
to kaise na-had mein
manzilon ki haden banaen
khala khala khalaen


isi wajud-e-khala mein insan
wajud-e-insan shirk-e-azam
ye ek nukta hai ism-e-azam
kis ism-e-azam ki justuju mein


kitab tasnif ho rahi hai
kitab talif ho rahi hai
wajud-e-insan
kitab tasnif kar raha hai


kitab talif kar raha hai
kitab gumrah kar rahi hai
23301 viewsnazmEnglish